Blog Me Domain Name Kaise Add Kare
Aajkal har koi online kuch na kuch krna chahta hai taaki khali samay me thoda kaam kar ke vo thodi extra income kar sake, to me apne pichle article me samjha chuka hu ki Google par free website kaise bante hai or apne aaj ke article me apko batane jaa rha hu ki Blog me domain name kaise add kare. To chaliye dosto fir shuru krte hai.
Blog Me Domain Name Kaise Add Kare:
Blog me domain name kaise add kare isse phle apke paas domain name hona chahiye or yadi apke paas domain name nahi hai to aap domain name kaise kharide yaha padh skte hai. Or jab aap apni website ke liye domian name khrid le to uske baad neeche diye hue steps ko follow kar ke aap aasaani se blog me domain name add kar skte hai.
Step 1:
Sabse phle to aap apne google account me log in ho jaaye or uske bad aap blogger.com open kar ke apna blog open kar de. Or setting ke uper click kar de.
Step 2:
Iske baad apke samne kuch esa inteface open hoga, iske baad aap Set up a third party URL for a blog par click kar de.
Step 3:
Iske baad aap apni domain ka name enter kar de jesa uper tasveer me dikhaaya gya hai or save ke uper click kar de.
Step 4:
Iske baad aap sabhi ke samne kuch esa likha ayega ki we have unable to verify your authority to this domain, lekin apko ghabrane ki koi jaroort nahi hai. Iske baad apko seedha apne godaddy account me login kar dena hai.
Step 5:
Iske baad apko number ek par click krna hai or uske baad My products par click kar ke next page open kar lena hai.
Step 6:
Ab apko apni domain name ke aage DNS likha hua dikhega uske uper click kar ke next page open kar lena hai.
Step 7:
Ab apke samne kuch esa interface dekhne ko milega to apko yaha par uper dikhayi image ke according krna hai, apko apne blogger se number 1 utha kar number 1 par paste kar dena hai or number 2 utha kar number do par paste kar dena hai. Par apko ek baat yaad rkhni hai ki Type ke sthan par CName hi select karna hai.
Or uske baad apko A type ki 4 or DNS setting krni hai or jaise image me dikhaya hai vese bhar dena hai bas same to same.
Step 8:
Iske baad apko apne blogger par bapis jaana hai or save ke uper click krna hai or jab aap click karege to apki sari setting save ho jayegi. Or fir apki domain apke blogger ke sath attach ho jayegi fir jo apki domain hogi address bar par enter krne se apka blog open ho jaaana shuru ho jayega.
Jab apki sari settings save ho jayegi to apko samne kuch esa dikhega jaisa ki uper tasveer me dikhaaya gya hai. Or agr apko esa kuch dikh jaaye to samjh lena ki apki domain attach ho chuki hai.
Conclusion:
Dosto me bhi aap hi ki trh hu me koi bahut bda blogger nahi hu to isliye apko Blog me domain kaise add kare is article me koi bhi problem aati hai to aap mere sath directly baat kar ke solution le skte hai. Or ye blog mene apne jaise un logo ke liye shuru kiya hai jo ki bahut kam paisa lga kar online earning krna shuru krna chahte hai. To yadi apko koi bhi problem hai to aap directly contact me par click kar ke mere sath contact kar skte hai. Contact Me