Breaking

September 1, 2023

Online Paise Kamane ka tarika: Padhe 20 Easy Tarike

Online Paise Kamane Ka Tarika:

Online Paise Kaise Kamaye
Online Paise Kamane Ka Tarika

Dosto, aaj ke samay me har kisi ke paas internet hai. Or koi jiske paas internet hai uske dil me kabhi na kabhi ye khyaal jaroor aata hai ki Online Paise Kamane Ka Tarika. To aaj ham apki isi preshani ko door karne ke liye apke liye ek Article le kar aaye hai. Ise padhkar apko samjh aa jayega ki akhir kaise aap ghar baith online paise kma skte hai.
Vese to apne Internet par bahut se tareeke dekhe honge or padhe bhi honge. Par mujhe nahi lgta hai ki apne unse achi earning ki hogi. Par aaj jo tareeke ham apke samne laaye hai isse apko bahut hi jaldi kaafi achi earning start ho jayegi. Or inhe follow karne ke baad aap dobara kabhi nahi puchenge ki ghar baithe paise kaise kamaye. Facebook Se Paise Kaise Kamaye

Online Paise Kaise Kamaye Step By Step Jankari:

Dekho dosto, online paise kamana badi baat nahi hai. Par ye tabhi possible hai jab ham sehi tareeke se kaam kare. Par aaj ke time me sehi jankaari mil paana bahut hi jaada muskil hota hai. Aaj ham apke samne online paise kamane ke 20 treeke laaye hai. Unme se pehle 15 hai jisse ki aap jindagi bhar ka kharcha chla skte hai bina job kiye. Next 5  tareeke me aap thodi bahut hi earning kar skte hai.

1.Freelancing
2.Online Seller
3.Ebook Selling
4.Sell Photos
5.Social Media Influencer
6.Startup
7.Article Writing
8.Affiliate Marketing
9.Start A Blog
10.Domain Flipping
11.Website Flipping
12.Online Consultancy
13.WE-Media Writer
14.Youtube
15.Application Developer
16.Online Survey
17.Searching The Web Job
18.Reviews
19.Paid To Click
20.Network Marketing

1.Freelancing:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Vese to freelancing ke bare me apne suna hi hoga. Fir bhi apko bta deta hu ki freelancing akhir hota kya hai. Free lancing me aap apne ghar par kar kaam karte hai. Iske liye aap Upwork or Fiverr jaisi website par account bna kar kaam shuru kar skte hai.
Also Read: Fiverr Kya Hai Isse Paise Kaise Kamaye
Isme apko jo kaam krna aata ho aapko mil jaata hai. Fir chahe vo photo capture karna ho, ya fir typing chahe photoediting. In website me apko har vo kaam dekhne ko mil jayega jo online ho skta ho. Bahut se log Freelancing se lakho rupay har mahine kma rahe hai.

2.Online Seller:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Online seller, naam to apne suna hi hoga. Bahut log Amazon or Flipkart jaisi websites par seller account bna kar kamayi kar rahe hai. Isme hota ye hai ki apke paas koi product hona chahiye jo aap online sell kar sake. Bas un products ki photo le kar account me upload kar deni hai. Or sath me specification bhi likh deni hai.
Fir jise bhi vo product chahiye ho vo order kar dega. Aap apne ghar se hi vo product buyer ko send kar skte hai. Or isse apko kaafi profit bhi hota hai.  dukaan lene or rent dene ka khrcha bhi nahi pdta.

3.Ebook selling:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Ebook selling ka naam sunke apke dimaag me khyaal to jaroor aaya hoga ki akhir ye kya hota hai. To me apko bta du, Ebook ka mtlb hota hai ek esi book jo digital hoti hai. Iski koi hardcopy nahi balki soft copy hi kisi ko sell ki jaati hai.
Example: Maine ek book likhi is topic pe, "Online Paise Kaise Kamaye" or use online sell karna shuru kar diya. Jo bhi is book ko buy karega use koi hard copy nahi milegi. Book buy karne ke bad vo keval use download kar ke apne mobile ya Computer par padh skta hai.
Is kaam me apka kuch lgta bhi nahi hai, or book sell ho gayi to earning bhi kaafi jaada ho jaati hai. Aj ke samay me bahut se log ye kaam kar ke bahut saara paisa kma rahe hai.

4.Sell Photos:

Aap soch rahe honge ki ab photo kise or kaise bech skte hai. To me apko bta du ki  Bas apko karna ye hota hai ki apka jo photo  hai vo apka khud ka hona chahiye. Fir aap use website par upload kar de. Or jaise hi koi apki us photo ko download karta hai to usse apko earnng hoti hai. Photo sell karne ke liye aap Shutterstock.com jaisi website par account bna skte hai.

5.Social Media Influencer:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Facebook or Instagram to aap bhi din bhar use karte hi honge. Ye dono hai kya or kaise kaam karte hai iske bare me btane ki mujhe koi jaroort nahi hai. Apne dekha hoga ki facebook par bahut se group or pages hote hai. In group or pages me hazaro lakho likes hote hai.
Yadi apke paas koi esa page ho jisme Hazara or lakho me likes ho to aap kaafi paisa kma skte hai.
Example: Mera ek facebook page hai jisme 1 lakh likes hai. To koi company jisne ek nayi mobile application launch ki hai. Vo ese page dhundati hai or admin se contact karti hai. Fir company kehti hai ki apke page par hame advertisement deni hai. Ap kaho ki apko kitne paise chahiye. Or bas mere page par advertisement dalne ke hi mujhe paise mil jayenge.

6.Startup:

Startup ke bare me apko pta hi hai ki kya hota hai. Fir bhi me apko btata hu ki akhir startup kya hota hai. To suniye, koi esa kaam shuru karna jo pehle kisi ne na kiya ho. Uska idea unique hona chahiye.
Jaise ki Swiggy, ola, uber or na jaane kitne startup hai is duniya me. Yadi apke paas bhi koi esa idea hai jo logo ki problem solve kar sake to aap bhi is idea se startup shuru kar skte hai. Or yadi apka startup chal gya to fir apko internet par ye search karne ki jaroort hi nahi rahegi ki Online Paise Kaise Kamaye. Kyoki apke paas kud hi kaafi earning ho jayegi.

7.Article Writing:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Bahut se log ese hai jinke paas apni website hai, par unke paas article likhne ke liye time nahi hai. Ese log hmesha hi article writer dhundate rhte hai. Jo ki inke article likh sake. Abhi aap ye soch rahe honge ki akhir ham ese admi dhunde kaha jo hame article likhne ko de.
To iska ek hi raasta hai, facebook open karo or group join karlo. Jo online earning se related ho. Ap waha join hone ke baad ek post kro ki mujhe article writing ki job chahiye. Koi na koi apko ye kaam jaroor karne ko de dega. Par ek baat yaad rkha, article likhne ka kaam apko tabhi milega yadi apko article likhna ata hai.
Log English me article likhne ka dosto hazaro rupay charge karte hai ek hi article ka. Isliye yadi aap bhi ek baar ye ajmaye to kya pta apko bhi article likh kar paise kamane ka moka mil jaaye. Or apka dobara ye search karne ki jaroort hi na rahe ki Online Paise Kaise Kamaye.

8.Affiliate Marketing:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Affiliate marketing ek esa kaam hai jo ki apko lakhpati nahi krodpati bna skta hai. Dosto affiliate marketing me apko dusri websites ke product ko sell karna hota hai. Iske liye sabse pehle apko Affiliate account bnana pdta hai. Uske bad aap kaam shuru kar skte hai.
Example: Bahut si website kehti hai ki aap hame customer la kar do ham apko commission denge. Isme apko apke affiliate account se link milta hai us link ke jariye apko product sell karwana hota hai. Yadi apke link se us product ko koi buy karta hai to isse apko commission milti hai. Aaj ke time me jo sabse top par affiliate program chla hua hai vo hai Amazon Affiliate. Ji han dosto aap amazon se bhi paise kma skte hai. Bas apko amazon affiliate ka account banana hai or fir jab bhi apke link se product sell hoga. Usse apko commission milegi.

Amazon kaun se procut par kitni commission deta hai iski list hamne uper Photo me dikhayi hai. Or aap yadi affiliate marketing se online earning shuru kar di. To uske baad apko kabhi ye search karne ki jaroor nahi pdegi ki Online Paise Kaise Kamaye.

9.Start A Blog:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Aaj ke samay me bahut se log ese hai jo ki blogging ki field me enter ho rahe hai. Blog matlab hota hai apni khud ki ek website. Iske liye apko kisi bhi topic ko select karna hota hai. Fir usi topic par apko article likhna shuru karne hote hai. Fir kuch samay baad aap apne blog se google adsense ya kisi bhi other ad network ki help se earning karta start kar dete hai.
Also Read: Apna Free Blog Kaise Banaye

10.Domain Flipping:

Domain flipping, ka meaning janne se pehle apko pta hona chahiye ki domain kya hota hai. To dosto domain hota hai kisi bhi website ka URL. Jaise ki google.com ya facebook.com, ye sabhi domain name kehlaate hai. Domain flipping ka meaning hota hai, domain name buy kar ke sell karna.
Example: Jaise ki India me 2016 me jio aaya. Isliye jio walo ko Jio.com naam ka domain name chahiye tha. Or unhe ye domain name kisi bhi kimat par chahiye ye aap jaante hi hai. To domain flipping karne wale kya krte hai ki vo market par nazar rkhte hai. Or jio ke ane se pehle hi Jio.com naam ki domain apne naam register karwa lenge. Or jab jio ayega or jio.com naam ki domain ko buy karne ko kehega. To jio.com jo domain unhone 500 rupaye me li hogi uske liye jio se 2 lakh rupaye mangega. Or jio ko majboori me vo domain 2 lakh me lena padega.
To isi process ko domain flipping kehte hai. Par ye kaam karne se pehle apko is business ki bahut hi achi jankaari hona bahut hi jaada jaroori hai. Nahi to isse apko los bhi ho skta hai.

11.Website Flipping:

Ye bhi domain flipping ke jaisa hi ek business hai. Isme aap ek website banate ho. Fir jab vo website apko earning karke dena shuru kar deti hai to aap us website ko sell kar dete hai. yadi website mujhe mahine ke 10000 rupay kma ke de rahi hai. To is website ko me araam se 3 se 5 guna paise me bech skta hu.
Or kuch log ek person se website buy karke dusre ko sell bhi kar dete hai. Website flipping karna bhi ek business hai par iske liye bhi bhot dimaag lgaana pdta hai. Par agr aap karne lg pade to aap lakho rupay kma skte hai.

12.Online Consultancy:

Jaise ki apko jgha jgha consultant dekhne ko milte hai, ye bhi kuch vesa hi hai. Bas frk itna hai ki isme online kaam hota hai. Jaise ki mujhe website ke bare me or online earning ke bare me knowledge hai. To kisi ko iske liye koi help chahiye ho to vo mujhe hire kar skta hai. Iske liye me thoda bahut charge karunga. Or samne wale ka issue jo bhi hoga use solve karung. Ise kehte hai dosto online Consultancy.

13.We-Media Writer:

We media writer ka kaam bhi article likhna hota hai. India me bhi kayi we media program hai, jaise ki Uc wemedia, Newsdog Wemedia, rozbuzz wemedia. Inme aap article likh kar paise kma skte hai, Sabse pehle inke wemedia website par jaa kar aapko account banana hota hai. Uske baad article likh kar post kare hote hai. Jitne bhi people apka article padhenge uske hisaab se apko earning hogi.
Me kuch ese bhi logo ko jaanta hu jo wemedia se har mahine lakh rupay kma rahe hai. Or aage bhi kamate rahenge. Or ek lakh rupay ek mahine ke km nahi hote hai. Koi bhi job apko itna paisa kma kar nahi dene wali.

14.Youtube:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Youtube ke bare me apko me kya btau, apke paas hi youtube ke bare me itni knowlege hai ki aap hi mujhe bta skte hai. Bas me to itna bta skta hu ki youtube se aap bhi kaafi achchi earning kar skte hai. Earning bhi itni ki jitni koi bhi job kabhi hame kar ke nahi de skti hai. Or  famous hone ka moka bhi milta hai.

15.Application Developer:

Vese to apko bhi pta hoga ki, Application kya hoti hai. Apne bhi playstore par dekha hoga ki kayi sari application waha pe hoti hai. Jaisi bhi application apko chahiye vesi application apko waha dekhne ko mil jayegi.
Apke pas bhi yadi koi unique idea hai to aap bhi apni koi android ya ios app bna kar lakho me kma skte hai. Bas apke paas idea hona chahiye paise to apke paas apne aap hi ayenge.

16.Online Survey:

Online survey kar ke bhi aap earning kar skte hai. Par dosto isse aap itni earning kabhi nahi kar payenge ki aap bina job kiye reh sake. Kyoki online survey me bahut hi km earning hoti hai. Or me to kehta hu ki isse na ke braber hi earning hoti hai. Bas samay hi barbaad hota hai. Me to apko kabhi suggest nahi karunga ki aap iske chakr me pade.

17.Searching The Web Job:

Esi job bhi apko bahut mil jayegi jisme apko internet par searching karne ke paise milenge. Par dosto me apko bta du ki yadi aap esi job dhundne jayenge. To apko jadatar fake sites hi milegi. Or usse apko earning to pta nahi par time ki barbadi jaroor hogi. Isliye yadi aap ye kaam karna chahte hai to kisi trusted website par hi jaa kar kare.

18.Reviews:

Bahut si websites esi hai jo ki apko product dengi or apko use karke btana hota hai ki akhir ye product kaisa hai or isme kya problem hai. Esi website bhi hoti hai internet par. Lekin yadi aap search karne jayenge to apko sirf fake website hi milegi. To meri to yahi advice hai ki ap esi websites ko hmesha hi avoid kare.

19.Paid To Click:

Bahut si websites esi hai jo ki apko click karne ke paise dete hai. Par fir se vohi baat gayi ki isse apko earning bahut hi km hoti hai. Isliye me apko recommend nahi karunga ki aap ye method earning karne ke liye use kare. Isse apko profit km or nuksaan jada hoga.

20.Network Marketing:

Online Paise Kaise Kamaye
Image Source - https://www.pexels.com

Network marketing se bhi aap kaafi acha paisa kma skte hai. Iske liye apke paas bahut hi acha network hona chahiye jo ki apko earning karne me help kare.
Example: aaye din nayi nayi apps launch hoti rhti hai. Or jab aap un apps ko kisi se download karwate ho to usse apko earning hoti hai. Or is tareeke ki mahine me pta nahi kitni apps launch ho jaati hai. To aap in apps ko download karwa ke bhi achi khasi earning kar skte ho.
Par isse aap secure nahi reh skte. Isme apko kabhi achi earnng hogi to kabhi khraab. Isliye ye method bhi me apko recommend nahi karne wala. Jo method top 15 me diye hai aap ho sake to unhi ko earning karne ke liye use kare.

Final Words:

Online paise kaise kamaye iske liye sirf ek sehi guideline hona jaroori hai. Yadi apke paas sehi guideline hai to apko achi khasi earning karne se koi bhi nahi payega. Prantu apke paas yadi sehi guideline nahi hai to fir apka kaam uperwale ke bhrose aa jata hai. Isliye uper diye gaye kisi bhi method ko apply karne se pehle inki ache tareeke se jaanch padtaal kar ke puri jaankaari juta le tabhi kaam karna shuru kare. Isse apko aage chal kar bahut jaldi kamyaabi mil jayegi.
Or me aasha krta hu ki aap bhi bahut jaldi online acha khasa paisa kamaye. Apko ye article kaisa lga hame comment box me jaroor likhe. Or yadi apko inme se kisi method me koi problem hai to aap uske bare me bhi hame comment kar ke puch skte hai. Online Paise kaise Kamaye ese knowledge se bhare article har din apne paas paate rhne ke liye Earningtipsinhindi.com par fir se visit karna bilkul bhi naa bhule.