Breaking

September 1, 2023

Blog Se Paise Kaise Kamaye [Top 10 Methods]

Blog Se Paise Kaise Kamaye

Blog Se Paise kaise Kamaye
Blog Se Paise Kaise Kamaye

Dosto aap sabhi ka Earning Tips In Hindi me ek baar fir se swagat hai. Har koi online earning karna chahta hai. Online earning ka jo sabse pehla or puraana tareeka jo hai vo hai blogging se. Par jab hame pta chlta hai ki blogging se paise kamaye jaa skte hai, to uske baad hmare dil me ek khyaal aata hai. Or vo ye hota hai ki blog se paise kaise kamaye. To aaj isi ke bare me apko batane jaa rahe hai aasha krta hu ki apko vo sab samjh ayega jo me apko samjhaana chahta hu. Facebook Se Paise Kaise Kamaye

Blogging se paise kamane ke 10 tarike:

To blog se paise to unlimited tareeko se kamaye jaa skte hai. To unhi me se kuch top tareeke apke samne le kar aaye hai jo ki neeche likhe gaye hai.
  1. Ads Networks
  2. Affiliate Marketing
  3. Sell Digital Products
  4. Sell Physical Products
  5. Provide service
  6. Paid Membership 
  7. Write Sponsored Blog Posts
  8. Paid Reviews
  9. Sell Links
  10. Donations 

Ads Network

Blog banane ke bad kisi ad netwok ke sath jud kar blog se earning ki jaati hai. Ad network me account banane ke bad ad network wale apki website par visit krte hai.  Or jab unhe sab right lgta hai to veh apko apni website ads show karne ke liye allow kar dete hai.
Fir aap un ad networks se ads le kar apne blog par lga skte ho. Jab bhi koi apki website par ayega or ad dekhega usse apko earning hogi. Or jo 2 top ad networks hai vo hai Google adsense or media.net. Aaj ke samay me apko har kisi bhi website par inhi ke ads dekhne ko milege.

Affiliate Marketing

Affiliate marking me kisi bhi company ka Product aap apni website par sell kar skte ho, example amazon, flipkart etc. Apko karna bas ye hoga ki product ka link apni website par dalna hoga. Jab bhi koi us link pe click kar ke amazon ya flipkart par jayega or Product Buy karega to usse apko commission milega milega.

Sell Digital Products

Aap khud ki banayi gayi digital products ko bhi apni website par sell karke paise kma skte ho. Example- Ebook, Course and Software etc. Jab bhi apse koi in products ko buy karega apko earning hogi.

Sell Physical Products

Jaise aap digital products sell karte hai vese hi aap physical product bhi sell kar skte hai. Example- T-shirt, Books and Designer clothes. Ye to bas example hai aap jo marzi chahe online apni website par sell kar skte hai.

Provide Service

Yadi aap kisi kaam me expert ho to aap apni website par logo ki us kaam me help kar ke unse charge kar skte ho. Example- Website development, App development and SEO.  Aap kisi bhi field me yadi master ho to aap usse earning kar skte ho.

Paid Membership

Aap apni website par kuch esa content likhte ho jiski har kisi ko jaroort hai to aap website users ko paid membership bhi de skte ho. Isse jo bhi apki website use karna chahta hoga use pehle pay karna hoga. Or isse apko bahut hi achchi earning bhi hogi.

Write Sponsored Blog Posts

Yadi apki website bahut hi top class ban jaaye to aap sponsored article bhi likh skte hai. Jaise market me koi new product aata hai to vo apko iske bare me article likhne ke liye kahenge. Taki logo ko pta chal sake ki market me esi koi nayi product aayi hai. Or badle me apko company article likhne ka paisa degi.

Paid Reviews

Man lo apki website mobile ke uper hai, or market me koi new mobile aaya hai. To company apko kahege ki aap iske bare me positive review do or paise lelo. Isse apko bhi earning hogi or company ke mobile bhi sell honge.

Sell Links

Website jab top par pahuch jaati hai to uske baad har koi apki website se backlink lena chahta hai. Or ek backlink ke badle veh apko muh mange paise dene ke liye ready ho jaate hai. Or yadi apko nahi pta hai ki backlink kya hote hai to aap neeche diye link par click karke padh skte hai.
Read: Backlink kya hai

Donations

Yadi uper diya gya koi bhi method aap use nahi krna chahte hai to aap Donation bhi accept kar skte hai. Abhi aap soch rahe hai honge ki donation kon dega. To dosto me apko bta du ki Wikipedia site duniya ki number one site hai. Or ye bhi donation se hi chalti hai, log inhe donation dete hai. Or mujhe lgta hai ki abhi aap samjh hi gaye honge ki blog se paise kaise kamaye jaate hai.

Conclusion

Dosto blog se paise kaise kamaye ye to har koi bta deta hai, or aap is article ko padh kar samjh bhi gaye honge. Par me apko bta dena chahta hu ki aaj ke samay me blog se paise kamane utne asaan nahi hai jitna aap samjh rahe ho. Isliye yadi aap blog se paise kamana chahte ho to aap tabhi is field me aana, Yadi aap mehnat kar sako. Kyoki esa nahi hai ki blog se income pehle din se aana shuru ho jaati hai. Kayi baar salo lag jaate hai pehli payment aane me bhi.
Or dosto yadi apko koi bhi help chahiye ho to aap uper contact me page me mera whatsapp number diya hai, aap waha se mujhe contact kar skte ho. Or blogging field me apko swagat hai. Or ye article kaisa lga comment kar ke jaroor bataye. Or ese hi article har din apne paas paate rhne ke liye apke apne is blog me fir se jaroor visit kare.

Also Read:

SEO Kya Hai
Google Adsense Account Kaise banaye
Google Par Website Kaise banaye