Breaking

September 15, 2023

SEO Kya Hai | Padhe SEO Se Judi Puri Jankari

SEO Kya Hai In Hindi

SEO Kya Hai
SEO Kya Hai

Dosto aap sabhi ka ek baar fir se Earningtipsinhindi me swagat hai. Yadi aap bhi internet par ye search kar rahe hai ki SEO kya hai, to iska matlab aap bhi blogging field me interested ho. To seo ke bare me pta hone se pehle apko jaankari honi chahiye ki SEO ki full form kya hai. To me apko bta du ki Search Engine Optimization ko hi SEO kehte hai.
Search Engine Optimization ko or jaada simple tareeke se samjhaane ke liye me apko ek example deta hu

Example: 

Jaise har ek book ke first page par table of content diya hota hai. Taki jo bhi reader aaye us table of content ko dekhkar pta chal jaaye ki kaun se page par kya likha hai. Vese hi seo me hame search engine ko ye samjhaana hota hai ki hamne kaun se page par kaun sa article likha hai.
Yadi search engine ko samjh ayega ki hmari website me kaun se page par kaun sa article likha hai, tabhi to search engine apne results me apki website dikhayega.  Jaise maine ye article likha hai ki SEO Kya Hai, yadi is article ka seo sehi se hoga tabhi to google search engine ko pta chalega ki maine ye article jo likha hai vo kis bare me likha hai.

Type OF SEO:

  1. On Page SEO
  2. Off Page SEO

On Page SEO:

Har koi jo bhi blogging ki field me kadm rkhta hai veh seo ke bare me logo se sunta hai, fir uske mn me khyaal aata hai ki On Page SEO Kya Hai. To aaj me apki isi baat ka jawaab apko dene jaa rha hu.
Jab bhi ham article likhte h on page seo article ko likhte time kiya jaata hai. Jaise ki article me theek se keywords, meta description, title, headings, images etc ko sehi se daalna. Taki jab bhi google ka bot apki website par aaye to use aapne article me kya likha hai ye samjhne me muskil na ho.
Or is ko ham on page seo kehte hai. On page seo hi article ko rank karwane me sabse jaada important role play karta hai. Yadi aap on page seo ke bare me or jaankaari chahte hai to aap hame comment kar ke bta de ham uske baare me ek alg se article likh denge.

Off Page SEO:

On page seo ke bare ma jaanne ke baad har kisi ke dil me khyaal aata hai ki off page seo kya hata hai. Off page seo on page seo ki trah nahi hota hai, ise article ko likhte samay nahi balki article ko likhne ke baad kiya jata hai. Off page seo me website par traffic laana, backlinks banana, website optimization karna etc cheze aati hai. Backlinks kya hote hai yadi aap bhi jaanna chahte hai to neeche diye gaye link se aap padh skte hai.
Read: Backlink kya hai or backlinks kaise banaye

Ways Of Doing SEO:

  1. White Hat SEO
  2. Black Hat SEO

White Hat SEO:

Seo ke bare me janne ke bad ham white hat or black hat seo ke bare me sunte hai or fir hamare dil me khyaal aata hai ki ye White Hat SEO Kya Hai yaar. To me apko bta du ki bina koi cheating kiye hue jo seo kiya jaata hai use hi white hat seo kehte hai. Isme aap jo bhi kaam krte hai saara ka saara google ki policy ke anusaar hota hai. Or google ki koi bhi update aane par apki website par iska koi bhi bad effect nahi pdta.

Black Hat SEO:

To dosto white hat seo ke bare me jaanne ke baad apke dil me khyaal aaya hoga ki Black Hat SEO kya hai, to me apko bta du ki cheating kar ke or google ko dhokha de kar kisi article ko rank karwane ki koshis jo ki jaati hai use hi black hat seo ka naam diya gya hai.
Short term ke liye to ye kaam kar jaata hai, par jaise hi google ki koi nayi update aati hai to vese hi black hat seo se rank karwayi gayi website fir se outrank kar di jati hai.

SEO Me Keyword Kya Hota Hai:

To jaise ki aap jaante hai ki mera ye article likha gya hai "SEO Kya Hai" is bare me, to yahi mera keyword hai or is keyword par me apne article ko rank karwaana chahta hu.  To abhi aap samjh hi gaye honge ki what is keyword in seo.

SEO Tools Kya Hai:

Jaise ki aap jaante hi hai ki koi bhi kaam hai tools ke bina karna possible hi nahi hai, to jo tools  seo krne ke liye kaam me liye jaate hai unhein hi seo tools kaha jaata hai.

Free Tools For SEO:

Backlinks check karne ke liye ham The Hoth ka istemal kar skte hai, or Keyword research ke liye ham google adword tool ka use kar skte hai.

Paid seo tools: 

Paid seo ke tools to bahut sare hai par jo top me use kiye jaate hai veh hai Ahrefs and Semrush, in tools ke sath aap becklinks, keyword research jaisi cheeze araam se kar skte hai. Par ye tools bahut hi jaada mehnge hote hai.
To me aasha krta hu ki aap samjh hi gaye honge ki, SEO Tools Kya hai or inka kya istemal hota hai. Or yadi apko inke bare me or inhe kaise istemal karte hai jaanna hai to hame comment kar ke bta de.
Also Read: Blogging Kaise Kare In Hindi

Conclusion:

Blogging ki field me jo sabse jaada important cheez hoti hai vo seo hi hota hai. Par aap kabhi bhi ye na samjhe ki seo hi sab kuch hota hai, aap jitna marzi seo karwaaye lekin fir bhi Content is always king. Isliye seo ki trf dhyaan dene se pehle hmesha apne content ki or dhyaan jaroor de. Or me aasha krta hu ki aap samjh chuke honge ki SEO kya Hai.