Breaking

September 24, 2021

[2020] Jane Blogging kaise kare

Blogging kaise kare

Blogging Kaise Karu

Jab bhi ham kabhi internet par search karte hai ki online paise kaise kamaye, to usme ek method hame dekhne ko milta hai jise Blogging kehte hai. Or blogging ke bare me padhne ke baad hame samjh aa jaata hai ki isse paise kamaye jaa skte hai. Par jo sabse jaada jaroori cheez hai vo ye hai ki akhir Blogging Kaise Kare jisse ki ham bahut saare paise kma sake. To chaliye dosto shuru karte hai or apko apki is baat ka jawaab dete hai ki blogging ki shuruat kaise kare.

Blogging karne ke liye kya-kya chahiye:

To Friends yadi aap seekhna chahte hai ki Blogging Kaise Kare to uske liye apko kuch cheezo ki jaroor padne waali hai or neeche di gayi list me apko vehi cheeze dikhaayi gayi hai.  Or ha dosto me ye nahi likhunga ki apko ek device or internet connection bhi chahiye, kyoki ye to apko khud hi pta hai to apko samay me barbaad nahi krna chahta hu or to the point hi baat karunga.
  1. Apni khud ki Website
  2. Fully Approved Adsense Account

Apni Khud Ki Website:

Jaise ki aap jaante hi hai ki apni website banane or usme content dalne ko hi blogging kehte hai. To blogging shuru karne ke liye sabse pehle apke paas ek website honi jaroori hai. To abhi website kaise banaye ye sawaal apke man me aa rha hoga. To website banana yadi aap seekhna chahte hai to neeche link diya hai isme jaa kar aap seekh skte hai.
Read: Google par free website kaise banaye

Fully Approved Adsense Account:

Abhi dosto apke paas website ban kar ready ho gayi, usme apne content likhna bhi shuru kar diya, par apko usse earing kaise hogi, to uske liye apko ek google adsense ka account banana padega. Or jab google apka adsense account approve kar dega to usme se ad unit le kar aap apni website par ads show kar skte hai.

Or fir jab bhi koi apki website par visit karega to usko google adsense ki ads bhi dikhaayi dengi. Or jab jab kisi ki nazar apke dwara lgayi gayi google adsense ads par pdegi apko earning hogi. Or jaise jaise apki website par traffic badhega apki earning bhi vese vese badhegi. Or is trh se aap blogging kar ke paise bhi kma skte hai.
Abhi apke mn me swaal aa rha hoga ki,"Google Adsense Account Kaise Banaye" to yadi aap bhi google adsense account banana seekhna chahte hai to aap neeche diye gaye link pe click kar ke seekh skte hai.
Read: Google Adsense Account Kaise Banaye
Read: Seo Kya Hai 

Conclusion:

To dosto aap bhi seekh hi gaye honge ki Blogging Kaise Kare, par dosto me apko bta dena chahta hu ki jitna asaan blogging karna lgta hai utna asaana hota nahi hai. Agr itna hi asaan hota to har koi blogging hi karta. Or yadi aap bhi is field me aana chahte hai to aap tabhi aaye jab aap kuch alg kar skte ho, or sath me oro se jaada mahnat kar skte ho. Or yadi meri koi apko help chahiye ho to uper contact me likha hai waaha click karke apko mera Whatsapp Number mil jayega aap mujhe contact kar le me jitna hoga apki help jaroor karunga.